Sadiyon se feb ko pyar ka mahina mana jata hai kyonki isi mahine me aata hai valentine’s day. Valentine week ki shuruat ho chuki hai, kisi ke haath me dil ke aakar wale gubbare hain to kisi ke haath me gulabi Greetings card, wahin koi haaath choclate liye khara hai to koi candy liye , Par hum me se kitno ko pata hai Valentines ke bare me?? Kaise iski shuruat hui ?? Ye Feb me hin kyon manaya jata hai??
Aiye pahle hum jante hain akhir valentine kyon manaya jata hai?? Aur iski shuruat kahan se hui?
Valentine’s ke bare me kuch bhi kahin bhi likha hua nahi hai agar humare pas hai to kuch poranik kathaien(myth). Valentine ki shuruat paschimi deshon se shuru hui. Kaha jata hai St.Valentine naam ka ek purohit tha jiska saamna ek shaktishali raja Claudius II se hua. Ye kahani 270A.D ki hai. Us samay raja ne ek kanoon banaya tha jisme sainiko ko pyaar aur shaadi karne par pabandi thi. Wahin St. Valentine iska virodh karte the aur jo sinik shaadi karna cahte the uski shaadi karwate the. Jab raja ko is baat ka pata chala to usne St. valentine ko maut ki saja sunai wahin jail me st.valentine ko jailer ki beti se pyar ho jata hai. Aur 14 feb ko marne se pahle usne jailer ki beti ko ek khat likha jiske aakhiri me likha tha “tumhara valentine” us din ko St.Valentine’s Day ka naam diya gaya jisko aaj sabhi Valentine’s day ke naam se jante hain.
Aaj har yuva dil me Valentine’s day manane ki khwash hoti hai, sabhi cahte hain ki us din ko wo apne pyar ke saath bitaye. Valentine day ke din sangini apne saathi ke saath aur ladke apni sangini ke saath is din ko bitana cahte hain. Par kya pyaar yahin tak simit hai. Aisa lagta hai maano pyaar ke sirf ek roop ko puja jar raha hai.
Humare bhartiya sabhyata me har tarah ka pyar hai. Bhai bahen ka pyar maa aur pita ka pyaar pati patni ka pyaar aur agar hum valentine day par pyar ko samman de rahe hain to hume har tarah ke pyar ko samman dena cahiye sirf Girlfriend aur boyfriend ka pyaar aur pati patni ka paar hi pyaar nahi hota.
St. Valentine’s aur us ladki ke beech kaisa pyaar tha koi nahi janta par logon ne us pyaar ko ek alag naam de diya jo ki shayad sahi nahi hai. Agar dekha jaye to hum us desh se taluk rakhte hain jahan shri krisna aur radha ka pyaar bhi amar hua tha koi ek din nahi cahiye ki ha hume usi din ko pyaar ke naam karna hai humare liye har din valentines day hai par phirbhi agar hum valentines manate hain to hume pyaar ke har roop ke saath valentines manana cahiye. Ek pita apne bacche ka valentine ho sakta hai, ek maa apne baccho ka valentine ho sakti hai aur to aur maa aur bacche ke beech ka jo pavitra rishta hota hai usse pavitra kya ho sakta hai??
Log kehte hain ki Valentine’s day wo din hai jis din log apne pyaar ka ijhaar karte hain, ek naye riste ko majbooti dete hain, par un rishto ka kya jo aaj kamjor padte jaa rahe hain? Apne dil ke andar girlfriend ke pyaar ko dhoondh lete hain par us maa baap ke pyaar ka kya jo kai saalon se aapko apne dil ka tukda mante hain. Jab purane rishton me koi majbooti nahi rahegi to ye Valentine’s Day naye rishto ko kaun si majbooti de dega?
har kisi ki tarah main bhi is din ka aadar karti hoon par main aap logon se yahi kehna cahti hoon ki pyaar ke is pavitra din ko sirf dost hin nahi apne pariwar ke saath manao. Asli mayne me yahi valentine’s day hai.
Waise bhi aaj bhaag daud ki jindgi me agar aap kuch pal apne maa-baap ko dete ho to isse bada valentine gift unke liye aur kya ho sakta hai. Aur agar Valentine’s day par rishte hin majboot karne hain to un rishto ko karo jo aaj kamjor pad rahe hain. Valentine day sirf unke saath mat manao jisse aap pyaar karte ho unke saath bhi manao jo aapse pyaar karte hain aur agr dil me jhaank kar dekhoge to pehla chera tumhare maa-pita ka hin hoga.
Aaj agar kuch survey reports ki mane to jaan kar khushi hoti hai ki adhiktar bhartiya Valentine’s day apne pariwar walo ke saath manate hain aur manaye bhi kyon na akhir papa mummy se badhiya valentine aur kahan milega???
mardi 21 septembre 2010
Inscription à :
Publier les commentaires (Atom)
Ce commentaire a été supprimé par l'auteur.
RépondreSupprimeri love my parents...they are every thing for me..
RépondreSupprimervery gud thinking
RépondreSupprimerNice Post Rani
RépondreSupprimerGrab Tricks